Hum kabhi apnon se juda ho nahi sakte,
Dosti ke rishtey bewafa ho nahi sakte,
Aap bhale hi hamein bhula ke so jao,
Hum apko yaad kiye bina so nahi sakte.
Dosti ke rishtey bewafa ho nahi sakte,
Aap bhale hi hamein bhula ke so jao,
Hum apko yaad kiye bina so nahi sakte.
---------------------------------------------------------------
Dua karte hain hum sar jhukaye,
Ae dost, tu apni manzil ko paye,
Agar kabhi teri raahon mein andhera aaye,
Roshni ke liye khuda humko jalaye.
---------------------------------------------------------------
Doston se karo pyar itna ki,
Aur pyar karne ki gunjaish na rahe,
Vo muskurade hamein dekhkar ek baar,
Phir zindagi se koi khwaish na rahe.
---------------------------------------------------------------
Dosti mujhe aisi nibhana ki,
Dekhne vale bhi dang rah jayen,
Khuda bhi aake tumse poochhe ki,
"Kya hum bhi tumhare dost ban jayen?".
---------------------------------------------------------------
Aap khushnaseeb hain jo hum aapki
dosti ko itni shiddat se chahte hain,
Varna hum to vo shaksh hain jo
Khwab mein bhi appointment se aate hain.
---------------------------------------------------------------
Bedard kuch dost ho gaye hain hamare,
jo hamara intezaar bhi nahi karte,
Pahle to humse bahut baaten kiya karte the,
Aajkal to hamein yaad bhi nahi karte.
---------------------------------------------------------------
Mehfil mein kuch to sunana padta hai,
Gam chhupakar muskurana padta hai,
Kabhi hum bhi dost the apke,
Aajkal to yaad dilana padta hai.
---------------------------------------------------------------
Bhool jane ka hosla ab na hoga,
Door rahkar bhi tu juda na hoga,
Tujhse milkar kisi sur se kya milen ae dost,
Koi tere jaisa doosra na hoga.
---------------------------------------------------------------
Lafz aap do, geet hum banayenge,
Rasta aap do, manzil hum payenge,
Khushi aap do, hansi hum banayenge,
Sachche dost aap bano, Dosti hum nibhayenge.
---------------------------------------------------------------
Dosti to sirf ek itefaaq hai,
Dosti nahi dekhti ki ye din hai ki raat hai,
Ismein to sirf rasgulle ki mithas
Aur pani puri ki pyaas hai.
---------------------------------------------------------------
Bole vo dosti, Chup rahe vo pyaar,
Milaye vo dosti, Juda kare vo pyar,
Hansaye vo dosti, Rulaye vo pyar,
Phir bhi log dosti chhodkar kyun karte hain pyar?
---------------------------------------------------------------
Dil tootna saza hai mohabbat ki,
Dil jodna ada hai dosti ki,
Maange jo kurbani, vo hai mohabbat
Aur jo bin mange ho jaye kurbaan, vo hai dosti...
---------------------------------------------------------------
Kuch log khaas hote hain, har pal dil ke paas hote hain,
Kushiyon mein shamil hote hain aur gam mein bhi sath hote hain,
Log unhein dost, aur hum unhein AAP kahte hain.
---------------------------------------------------------------
Kuch rishte anjane mein ho jate hain,
Pahle dil phir zindagi se jud jate hain,
Kahte hain us daur ko dosti,
Jismein dil se dil na jane kab mil jate hain.
---------------------------------------------------------------
Chaand ka kya kahna, vo to laakhon mein ek hai,
Aapka kya kahna, aap to karodon mein ek hai,
Apni dosti ka kya kahna,
Vo to khuda se bhi nek hai.
---------------------------------------------------------------
Tum banke dost aise aaye zindagi mein
ki hum ye zamana hi bhool gaye,
Tumhein yaad na aayi kabhi hamari,
Aur hum to tumhein bhulna hi bhool gaye.
---------------------------------------------------------------
Ek hai aasman ka tara, dusra hai samunder ka kinara,
Bewafa to hai zamana sara,
Naseeb hai accha hamara,
Jo mila dost aap jaisa pyara... pyara...
---------------------------------------------------------------
Dosti se aaj pyar sharmaya hai,
Teri chahta ne kuch aisa gazab jadu chhaya hai,
Khuda se kya tujhe maangen,
Vo to khud aaj muzse tere jaisa dost maangne aaya hai.
---------------------------------------------------------------
Ab Aur Manzil Pane Ki Hasrat Nahi,
Kisi Ki Yaad Me Mar Jane Ki Fitrat Nahi...
Aap Jaise Dost Jabse Mile,
Kisi Aur Ko Dost Banane Ki Jarurat Nahi.....
---------------------------------------------------------------
Hansna hamara gawara nahi hota,
Har musafir zindagi ka sahara nahi hota,
Milte hain bahut log is tanha zindagi mein,
Par har dost tum jaisa pyara nahi hota.
---------------------------------------------------------------
Ai Khuda, apne chand pe itna guroor na kar,
ek chand sa dost hum bhi rakhte hai,
Jab taarif tere chand ki hoti hai,
log misaal mere dost ki dete hai.
0 comments:
Post a Comment